Tuesday, December 27, 2011

Duaon ki qobuliyat ka afzal waqt

Duaon ki qobuliyat ka afzal waqt:
·         Farz namaz kay baad
·         Azan or Iqamat kay darmian
·         Tahajjud kay waqt
·         Barish barastay waqt
·         Dauran-e-safar
·         Iftaar kay waqt
·         Jummay kay din ek ghadi
·         Shab-e-qadar main
·         Zam zam peetay waqt
·         Arfat kay din maidan-e-Arfat main
·         Quran ki tilawat kay baad
                                                                        
Messenger of Allah (PBUH) said, "None of you is a True Momin until he Loves for his Brother, What he Loves for Himself."

Hadees
·         Jo shaks har waqt bawuzu rahega, Allah uski rozi kushada farmaega
·         Khuda ki khushi walid ki khushi mein hai aur Khuda ki narazgi walid ki narazgi mein hai
·         Sood khane wale ki dua qabool nahi hoti
·         Jisne apni Namazon ki fiqr chod di, Allah ne uski fiqr chod di
·         Agar koi shaks har farz Namaz kay baad “Ayat-ul-Kursi” padhe, toh uske aur Jannat ke darmiyan ka fasla sirf maut hai
·         Allah us shaks ko abad karta hai jo hades sun kar doosro tak pohchata hai

·         Sura Yasin             --- Relief from azaab in the grave
·         Sura Ar Rahman    --- It will make us rich in duniya
·         Sura Al Waqiya      --- It will release you from hunger
·         Sura al Mulk          --- Brings light in your grave
·         Sura Al Jasiya       --- It will bring peace in your life

Musalmaan par Musalmaan ke Panch Haq hai
1.    Salaam ka jawab dena
2.    Mareez ki eeyadat karna
3.    Janaze ke hamrah jana
4.    Dawat kabul karna
5.    Cheenk ka jawab dena

Jannat ke 8 darjey
1.    Jannatul Mava
2.    Darul Maqaam
3.    Darul Salaam
4.    Darul Khuld
5.    Jannatul Adaan
6.    Jannatul Nayeem
7.    Jannatul Kasif
8.    Jannatul Firdous

Best:
1.    Leader        -------- Allah
2.    Guide         -------- Quran
3.    Lyrics         -------- Azaan
4.    Loyalty       -------- Imaan
5.    Request      -------- Dua
6.    Protection   -------- Fitra
7.    Oath           -------- Kalma
8.    Exercise      -------- Namaz
9.    Self-Control -------- Roza
10.  Charity        -------- Zakat
11.  Tour            -------- Haj

Some Facts about Quran
·         Quran mein 700 baar Namaz ki dawat di gayi hai
·         Quran me Surah-Al-Baqarah sabse badi Surah hai, aur Surah-Kausar sab se choti Surah hai
·         Quran ko pura hone me 22 saal, 5 mahine, 14 din lage
·         Quraan me ALLAH ka naam 2584 baar hai
                                                                         

Kal fursat na mili to kya karo ge,
Itni mohlat na mili to kya karo ge,
Roz kehte ho kal parhon ga namaz,
Kal agar saans na rahi to kya karo ge…

Rasam se sunnat achi,
Neend se namaz achi,
Gunah se neki achi,
Bazar se masjid achi
Fazool baton se quran ki tilawat achi,
Gheebat se zikar acha
Namaz jo hum par farz kar di gayi hai...
·         Fajr         ... bister main
·         Zohar      ... naukri main
·         Asar        ... chaye main
·         Maghrib  ... rastey main
·         Esha       ... TV main
·         Jumma   ... sonay main
·         Eid          ... bazaaron main

May Mighty Allah Guide all of us  ..........Aameen

No comments:

Post a Comment